Android Mobile Camera Pc web Cam Me Change Kaise Kare Video Calling Ke Liye

Android Mobile Camera Pc web Cam. Me Change Kaise Kare Video Calling Ke Liye Dosto agar aap pc par skype ja fir imo se video call karna chahte hai, toh aapke paas ek web camera hona chahiye. Agar aapke paas web cam nahi hai. Toh aap is post ko dhiyan se read kare. Isme hum ek android phone ke camera ko pc webcam kaise banaye iske baare me janege.

Aapko online aur bazar se bahut saare web cam mil jate hai. Kuch ki qwality bahut khraab hoti hai, aur jinki qwality achi ho toh uska rate kafi jyada hota. Dusri taraf mobile ke camera ki baat karo toh aaj kal mobile me high qwality full hd recording wale camera mil jate hai. Jiski clearity bahut jyada hoti hai.

android mobile camera pc web cam

Agar aap mobile camera ko pc web camera ke liye use karenge. Toh aapko video qwality bahut achi milegi. Jo aapko ek aam web cam nahi de payega. mobile ko web cam bana ke aap paise bhi bacha sakte hai, aur aapko video calling ka experience bhi acha milega.

Aap apne mobile camera ko wireless aur wired web cam dono treeke se use kar sakte hai. Agar aap wireless treeke se camera ko pc se connect karna chahte hai, toh aapka pc aur mobile dono same wifi network se connect hone chahiye, aur wired treeke se use karne ke liye aapke paas ek USB honi chahiye. Toh chaliye jyada time na lagate huye jante hai, ke ‘Android Mobile Camera Pc Web Cam Me Change Kaise Kare’

Mobile Camera Ko Pc Web Cam Kaise Banaye Video Calling Ke Liye

  1. Sabse pehle aapko playstore se DroidCam name ki app ko download karke install karna hai.

2. Uske baad pc par bhi aapko DroidCam Client Install karna hoga.

3. Pc aur Android me app install karne ke baad aapko sabse pehle apne android phone me DroidCam ko open karna hoga.

4. App open karne ke baad aapko Right side me round icon par click karna hai, aur click karne ke baad aapke phone me camera open ho jayega.

Droidcam app setting

5. Ab aapko pc me DroidCam Client ko open karna hai. Aapko usme neeche batayi huyi settings karni hai.

droidcam client setting

6. Agar aap wireless treeke se camera use karna chahte hai, toh aapko upar wifi ki icon ko select karna hai. Magar iske liye aapka phone jiska aap camera use karenge woh aur aapka pc dono same wifi network ke sath connect hone chahiye. Agar aap USB ki help se mobile camera ko pc se connect karna chahte hai, toh aapko USB ki icon ko select karna hoga.

7. Second aap video aur audio dono option ko select kare.

8. Last me Start par click karte hi aapke mobile ka camera pc se conect ho jayega. Ab aap apne phone ke camera ki maddad se pc, computer aur laptop par video call kar sakte hai.

Toh dosto aapne dekha ke kitne simple step follow karke hum ek badiya web cam bana sakte hai. Ab aap bhi android mobile camera pc web cam me change karke dekhe, aur comment me bataye aapko yeh treeka kaisa laga.

Agar aapko “Android Mobile Camera Pc web Cam Me Change Kaise Kare Video Calling Ke Liye” post achi laggi toh isko share aur like jarur kare, aur is trah ki aur new post ke notification apne email me pane ke liye blog ko subscribe jarur kare.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।