Computer Folders Icons Change Aur Create Kaise Kare

Computer Folders Icons Change Aur Create Kaise Kare. Aapne dekhe hoga computer ja fir laptop me jo folders hote hai, dekhne me itne ache nahi lagte is liye agar aap apni window me folders ki icons ko change karke uski jagah koi aur badiya icons lagana hai toh yeh post aapke liye hai. agar aap apni kisi image ko folder me lagana chahte ho toh aap woh bhi laga sakte hai. aaj yeh sab hum neeche janege.

Pc icon change karne ke liye aapko icons download karne ki jarurat nahi kyuke aapke pc me bahut sari icon mil jayegi jinko aap folder ki jagah laga sakte hai magar fir bhi agar aapko unme se koi bhi icon pasand na aaye toh aapko internet par bahut saari websites mil jayegi jinse aap free me icons download kar sakte hai. maine neeche ek website batayi hai jis ki maddad se aap icons download kar sakte hai.

Agar aap apni kisi picture ko folder me lagana ho toh aapko sabse pehle picture ko .ico format me convert karna jo ki bahut asaan hai aapko internet par online bahut saari websites aur software mil jayenge image ko convert karne ke liye. maine ek website aur software ka link neeche diya hai. aap website ja fir software ki maddad se apni picture ko convert karle

computer folders icons change kaise kare

For Free Icons –  iconarchive.com/tag/pc

Convert Image Format

Website – icoconvert.com
Software –  Real World Icon Editor

Computer Folders Icons Change Aur Create Kaise Kare

1. Sabse pehle folder par right click karke Properties ko select kare.

select properties

2. Fir customize Tab par click karke change icons par click kare.

change icon

3. Fir aapke samne ek dialog box open hoga usme se apni pasand ki icon ko select kare. agar aap image lagana chahte ho toh Browse Button par click karke jis image ko aapne .ico format me convert kiya tha select kare and ok press kare.

select icon

4. Fir apply karke ok par click kare.

Ab bas aapko ek baar refresh karna hai aur uske baad aapke folder ki icon change ho jayegi. dekha kitna asaan hai. toh aap isi tarah apne computer me sabhi folders ki icons change kar sakte hai. aur apni window ko customize karke new look de sakte hai.

Dosto aapko Computer Folders Icons Change Aur Create Kaise Kare Post kaisi laggi comment karke jarur bataye. aur agar koi bhi problem ho toh aap comment me bata sakte hai. main puri kosis karunga aapki problem solve karne me.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Leave a Comment