Computer Parts Ka Offline Market Price Kaise Pata Kare

Computer Parts Ka Offline Market Price Kaise Pata Kare ? Ghar Baithe Hello dosto agar aap ek pc build karna chahte hai, toh yeh post aapke liye bahut usefull hogi. Yaha par main aapko offline price and online price me difference kaise pata kare iske baare me bataunga.

Computer Parts Ke Offline Market Price Kaise Pata Kare

Jab hum apne liye koi pc build karte hai, toh hum sabse pehle internet par pc components jani parts ko search karte hai. But agar hame online price ko offline market se compare karna ho, toh hame kisi computer shop par jana padta hai. yaha par dukandar apne munafe ke liye aapko pc parts ka rates bahut jyada batata hai. Is liye aaj main aapko ek aisa way bataunga jiski help se aap ghar baithe offline market ka asli price pata kar sakte hai.

Dosto in dino agar aap online pc parts buy karte hai, toh aapko parts bahut expensive milenge. But agar aap offline market jayoge. Toh aapko rates me bahut jayda difference milega. Is liye agar aap pc build karne ja rahe hai, toh  aap offline market se hi pc parts kharide.

Computer Parts Ka Offline Market Price Rates Pata Kaise Kare Internet Se

Dosto aapko internet par offline pc components ke price pata karne ke liye google.com par ja kar cost to cost pdf likh kar search karna hai, aur pdf ko download kar lena hai.

Cost To Cost delhi ki sabse popular shop hai, jo ke nehru place me hai. Dosto yeh pdf in shop walo ne hi tyaar ki hai. Jisme aapko offline market ka real price pata chal jayega, jo ke online price se bahut kam hai.

Jaise agar aap 8GB DDR4 Ram online magwate hai, toh woh aapko ab 6000 ke aas paas milegi, wohi ram aapko offline 4200 me mil jaegi. Aise hi sabhi components aapko online price se kafi kam rates me mil jayenge.

Dosto agar aap apne area ke aas paas koi computer shop ke baare me search karna chahte hai, toh aapne google ki ad toh tv me dekhi hogi. like restaurent near me aise hi aap google par search kare computer shop near me. Aapke samne bahut saari shops ki list aa jayegi. Aap rating check karke. Koi bhi badiya shop select kar sakte hai, aur phone laga kar apne area ka offline price jaan sakte hai.

Yaha par bhi main aapko kuch pc components ke online aur offline price compare karke bata deta hu.

Online Price Vs Offline Price

Processor

i3 7100 Online Price – 9450

i3 7100 Offine Price – 6999

Ram

8GB DDR4 Ram – Online Price – 6000

8GB DDR4 Ram – Offine Price – 4200

Motherboard

Gigabyte H110 7th Gen – Online Price – 4459

Gigabyte H110 7th Gen – Offine Price – 3559

Graphic Card

Zotac 1050ti OC 4GB DDR5 – Online Price – 13126

Zotac 1050ti OC 4GB DDR5 – Offine Price – 10170

PSU

Corsair VS 450 – Online Price – 3099

Corsair VS 450 – Offine Price – 2150

Dosto aapko online aur offline parts ka price jaan kar pata toh chal gaya hoga, ke inme kitna difference hai. Toh ab aap cost to cost pdf download karke apne computer components ke price pata kar sakte hai.

Aapko Computer Parts Ka Offline Market Price Kaise Pata Kare ? Ghar Baithe article kaisa laga aap neeche comment karke jarur bataye, aur is tarah ke new article ke notification ke liye aap is blog ko subscribe jarur kare.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Leave a Comment