Facebook Profile ID Page Me Convert Kaise Kare | With Likes

Facebook Profile ID Page Me Convert Kaise Kare | With Likes Hello Dosto Agar aap ek New Facebook Page banane ke liye soch rahe hai, toh aap yeh post jarur read kare. Isme main aapko facebook id ko page me convert karne ke baare me bataunga.

Aap soch rahe honge, ke id ko page me convert kyu karna, simple new page bhi toh create kar sakte hai. Lekin agar aap facebook profile id ko page me convert karte hai, toh aapke jitne bhi friends Facebook ID par add honge. Woh sabhi automatically aapke page ko like kar lenge.

facebook profile id page me convert kaise kare

Ek user Facebook Account par maximum 5000 friends bana sakta hai, 5000 friends banane ke baad aap apni id ko jab facebook page me convert karenge. Toh aapko 2 minutes me hi fb page par 5000 likes mil jayenge.

Yeh koi trick ja hack nahi hai, facebook aapko aisa karne ki permission deta hai. yeh bilkul safe aur legal way hai.

Ab aap jaan hi chuke honge, ke facebook id ko page me convert karne ka kya fayda hai. Toh ab hum jaante hai, ke Facebook Profile ID Page Me Convert Migrate Kaise Kare | With Likes Convert facebook profile to page

Facebook Profile ID Ko Page Me Convert Kaise Kare

1.  Sabse pehle aapko  Create a Facebook Page Based on Your Profile link par click karna hai.

2. Fir Get Started par click kare.

3. Fir ek pop up window open hogi usme continue par click kare.

Ab aapko Category, name, address, phone number aur short description add karke next par click karna hai.

Cattegories and name change

4. Fir Select All par click karke Finish par click karde.

6. Ab aapko facebook page ka username add karna hai. Uske liye aap create page @username par click kare.

change facebook page username

7. Fir aapke samne ek pop up window open hogi, usme username type karke create username par click karde.

Ab aapki profile page me convert ho chuki hai, aur aap apne page ke likes bhi dekh sakte hai, jo ke aapke friends ke equal honge.

To ab aap bhi apni facebook id ko page me convert karke dekhe, aur hame bataye aapko “Facebook Profile ID Page Me Convert Kaise Kare | With Likes” post kaisi lagi.

Agar aapko yeh information achi lagi, toh isko like aur share karna mat bhule, aur latest updates email ke jariye pane ke liye is blog ko subscribe jarur kare.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Comment (1)

Leave a Comment