VI Postpaid Bill Payment Kaise Kare

Hello dosto aaj hum janege VI Postpaid bill payment online kaise kare. Hum me se bahut saare log postpaid connection use karte honge ja karne ke baare me soch rahe honge. But kuch user jo new hai jinko VI postpaid bill online pay nahi karna aata toh aaj main unke liye yeh article le kar aaya hu.

idea postpaid bill payment kaise kare

Dosto agar aap me se koi VI postpaid user hai, aur aap apna bill offline shop me pay karte hai, aur aap online postpaid bill pay karna seekhna chahte hai, toh aap bilkul sahi jagah aaye hai.

Internet par aapko idea postpaid bill dene ke bahut saare apps aur website mil jayengi. Jinme se VI App or paytm 2 ache app aur website hai bill payment karne ke liye. Aaj hum in dono app ki help se online VI postpaid bill payment karne ke tarike ke baare me janege.

VI Postpaid Bill Payment Online Kaise Kare

Yaha par main aapko 2 method btauga. First VI App aur Second Paytm app Aap dono me se kisi bhi app ki help se online VI bill payment kar sakte hai. Toh chaliye sabse pehle hum my idea app se bill pay karne ke baare me jaan lete hai.

VI App Bill Payment

STEP. 1 – Sabse pehle aapko Playstore se VI app download karke install karna hai.

STEP. 2 – Fir aapko OTP par click karke apna number daalna hai, aur iske baad my VI app login ho jayega.

STEP. 3 – Ab aapko Home par click karna hai. Iske baad aapke bill ki detail aa jayegi. Ab aapko Pay par click karna hai.

idea postpaid bill payment

STEP. 4 – Next page par aapko payment confirmation milega. Aap usko check karke next karde.

STEP. 5 – Ab aapse payment method ke baare me pucha jayega. Aapko 2 option milenge VI money or Net Banking/Card aap jis option se payment karna chahte hai. usko select karke payment karde.

Upar bataye huye steps follow karke aap VI aap login karke online postpaid bill payment kar sakte hai.

Paytm se VI Postpaid Bill Pay Kaise Kare

STEP. 1 – First paytm app open kare aur Mobile Postpaid par click kare.

mobile postpaid

STEP. 2 – Ab apna postpaid number aur VI bill amount enter karke Proceed to Pay Bill par click karde.

idea postpaid bill pay

STEP. 3 – Next page par ek baar fir proceed to pay par click karke Debit\Credit or Net Banking se payment karde.

Payment Success hone ke baad aapka VI postpaid bill pay ho jayega. Ab aap asani se apne mobile bill pay kar sakte hai.

Dosto aapko yeh post kaisi lagi aap neeche comment karke jarur bataye, aur agar aapko is poore process me koi problem aa rahi ho, toh aap neeche comment karke bata sakte hai. Main aapki puri help karuga problem solve karne me.

Is trah ke updates ke notification pane ke liye right side ki Bell Icon par click karke notification enable jarur kare.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Leave a Comment