Jio Giga Tv Set Top Box Ki Jankari Hindi Me Launch Date, Booking, DTH Plans, Price

Jio Giga Tv Set Top Box Ki Jankari Hindi Me Booking, Launch Date, DTH Plans, Price Dosto jio sim ke baad Reliance ab JIO giga Tv DTH SERVICE or Jio GigaTv Fiber Broadband jald hi le kar aane wala hai. Jio ne iski full tiyari kar rakhi hai. Ab aap Internet ki trah DTH Channel bhi affordable price me dekh sakenge.

Jio DTH Set Top Box Ki Jankari Hindi Me

Relaince jio ne desh ke bahut saare villages aur town me cable lines bhej di hai. Ab jald hi aap apne village aur town me Jio Dth service ka maza le sakte hai.

Agar aap youtube chalate hai, toh aapne youtube par Jio DTH SET TO BOX ki video jarur dekhi hogi. Jio DTH bahut saare logo ko testing ke liye diya gaya hai. Jab testing puri trah complete ho jayegi. Phir Jio Dish sab users ke liye available ho jayega.

Relaince Jio GigaTv Set To Box ki Launch Date Kya Hai?

Jaise ke maine aapko upar bataya abhi dth service ki testing chal rahi hai. Jyadatar sabhi big cities me optical fiber cables install ho chuki hai. Jio Giga TV Set Top Box Service 5 July 2018 ko jio dowara launch ho chuki hai, aur iski booking 15 August 2018 ko start ho jayegi.

JIO GigaTv Set Top Box ka Price Kya Hai ?

Relaince Jio Dth ka price abhi puri trah se confirm nahi hai. But kaha ja raha hai ke iska price sabi DTH Providers se kam hoga. Jaise aaj kal 1500 se le kar 3000 tak ke dth market me available hai. To isko dekh kar kaha ja sakta hai. Jio DTH price 1500 ja is se kam hoga.

Jio Giga Tv Set Top Box Ke Monthly Pack Ki Jankari

Jio Giga Tv Set Top Box me aapko Jio 4G sim ki trah sabse cheap plan milenge. Matlab aapko monthly Rs. 200 ke andar lagbag sabhi channel dekhne ko milenge.

PACK NAME EXPECTED PRICE
Normal Pack 49-55 Rs
All Spots Channels (in HD) 60-69 Rs
Value Prime Channels 120-150 Rs
Kids Channels 188-190 Rs
My Family Pack 200-250 Rs
My Plan 50-54 Rs
MY Sports 159-169 Rs
Big Ultra Pack 199-220 Rs
Metro Pack 199-250 Rs
Dhoom 99-109 Rs

 

Jio DTH South Indian Plans Detail In Hindi

SOUTH INDIA PACKS PRICE (EXPECTED)
South Indian Value Pack 120-130 Rupees
South Maximum 134-145 Rupees
My Sports 145-150 Rupees
Mega Pack 199-299 Rupees
South Ultra 199-250 Rupees

JIO GigaTv Channel List Ki Jankari Hindi Me

  • Colours (All Channels)
  • Sony (All Channels)
  • Star Network (All Channels)
  • ZEE Network (All Channels)
  • Sports Channels
  • Starr Spots
  • Ten Sports
  • DD Spots
  • Other
  • News
  • ABP News, ZEE News, Aaj Tak, India News
  • All Regional Channels Like Dangal, ETV Haryana/Punjab/Himachal
  • PTC, MH1, ABP News Sanjha, Majha Other.
  • English Movies Channels (All)
  • More Channels Coming Soon.

Jio DTH Set Top Box Specification

  • HDMI Support – Yes
  • 4K Recording Ultra HD 2160p/60 Videos  – Yes
  • WiFi – Dual Band IEEE802.11n 2.4 GHz (2×2) / IEEE 802.11ac 5GHz (2X2) Interface
  • Bluetooth  – Yes
  • Operating System – Android TV
  • Google Chrome Casting  – Yes
  • Technology – OTT (Over the Top Technology) / Live TV
  • DC Adapter – Output 12v/1.5A (18-Watts)
  • LAN Cable – Above CAT 5E
  • HDMI Cable Male to Male Connector – Yes
  • Remote Control – Infrared and Bluetooth Technology based/Microphone
  • Audio Output – S/PDIF Optical Audio Output (Sony/Philips Digital Interface Format).

JIO Giga Tv Online Book Kaise Kare

JIO DTH booking ki booking 15 August 2018 se start ho chuki hai. Ab aap jio ki website par ja kar jio giga fiber dth ke liye registration karwa sakte hai. Agar aapko online registration karni nahi aati, toh aap neeche likhe steps follow kar sakte hai.

  1. Sabse pehle Jio.com website open kare.
  2. Website par aapko JioGigaFiber ka banner dikhega us par click kare.
  3. Fir aapko apne office ja ghar ka address fill karna hai, ( aap chahe toh map par apni location mark karke address autofill kar sakte hai.
  4. Last me aapko confirm button par click kar dena hai.

Yeh sab karne ke baad aapki jio dth registration complete ho jayegi. Aapke area se jitne jyada log jiogigagfiber ke liye registration karenge, utni jaldi aapke area me yeh service start hogi.

Jio DTH Service ke liye aap online or offline dono tariko se apply kar sakenge. Agar aapne online apply karna hai toh aapko Jio.com par visit karna hoga, aur agar offline jio dth lagana chahate hai. Toh aapko offline JIO DTH ke Distribution se contact karna padega.

Toh dosto aapko Jio GigaTv Set Top Box Ki Jankari Hindi Me Launch Date, Booking, DTH Plans, Price post kaisi laggi aap neeche comment karke jarur batana.

Note. Dosto yeh jankari abhi offical nahi huyi hai, aur yeh sahi hogi ja nahi yeh offical jio dth launch ke waqt hi pata chalega.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Comments (2)

Leave a Comment