Jio Phone Online Book Kaise Kare 501 Rupaye Me

Jio Phone Online Book Kaise Kare 501 Rupaye Me: Dosto jis phone ki wait hum bahut time se kar rahe hai finally uski pre booking start ho gayi hai. Ab aap JioPhone Online or Offline Pre-Book kar sakte hai. Agar aap jio 4g phone pre-book karna chahte hai, toh yeh post aapke liye hi hai.

Jio Phone Online Book

Jiophone reliance ne 21 july 2017 ko launch kiya tha. Us waqt iski price 1500 rupaye rakhi gayi thi . But jio ne abhi ek new Monsoon Hungama Offer nikala hai. Jiski help se aap jiophone ko sirf 501 rupaye me kharid sakte hai.

Dosto Jio monsoon hungama offer ek trah ka exchange offer hai. Is offer me aapko koi bhi old working feature phone aur saath me 501 rupaye dene honge. Iske ilawa aapko is jiophone me 595 ka recharge bhi karwana hoga. Jisme aapko 6 months tak unlimited calling aur daily 500MB internet free milega.

Agar aap is exchange offer se phone nahi lena chahte hai, toh fir aapko jiophone ke liye 1500 rupaye pay karne honge, aur aap chaho toh 3 year baad jio phone wapis karke apne 1500 rupaye wapis pa sakte hai. Matlab aapko is phone ki cost 0 rupaye padegi. Lekin refund lene ke liye aapko phone wapis karna jaruri hai.

JioPhone Feature:

  • Is phone me aapko Rs. 49 rupaye me unlimited data+calls milegi.
  • Jio ke jitne bhi apps hai jaise jiotv, jiocinema and jiomusic yeh sab aapko free me is mobile me milege,
  • Aapko front aur back me camera milega. Jiski help se aap video call bhi kar sakte hai.
  • 4G VoLTE ka support bhi milega. Jiski help se HD Voice call kar sakte hai.
  • SD Card ka slot bhi isme available hai.
  • Is phone ko aap TV se connect karke jiotv app ki help se free me TV channel dekh sakte hai.

Jio Phone Online Book Kaise Kare | Monsoon Hungama Exchange Offer

1. Jio Phone book karne ke liye sabse pehle aapko Jio.com website par jana hoga.

2. Fir aapko “Get Now” ki option milegi, us par click kare.

 

3. Ab aapko apna mobile number enter karke submit button par click karna hai, aur OTP ke jariye verify karna hai.

enter number

4. Fir next page par aapko apna name aur pincode enter karrna hai, aur I’m interested in: me Jiophone Monsoon Hungama Exchange offer select karna hai. Last me aapko Find Nearest Store par click karna hai.

book jiophone

Yeh sab karne ke baad aapki location track karke aapke area ke jio store ki location aapko mil jayegi. Fir aap waha ja kar jio phone buy kar sakte hai.

Agar aapko ‘Jio Phone Online Book Kaise Kare 501 Rupaye Me’ post achi lagi ho toh isko jyada se jyada share kare, aur blog ko subscribe karna mat bhule.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Comments (6)

  1. sir mere ko jio mobile chaiye bhut log bol rhe the hamko jio mobile chaiye krke toh hme jio ki mobile dene ki kiripa kren……………………….thank you

    Reply
  2. sir mere ko jio mobile chaiye bhut log bol rhe the hamko jio mobile chaiye krke toh hme jio ki mobile dene ki kiripa kren……………………….thank you

    Reply

Leave a Comment