Mobile Se Direct Video Call Kaise Kare Without Internet | VoLTE Support

Mobile Se Direct Video Call Kaise Kare Without Internet | VoLTE Support: Hello Dosto Aapne Whatsapp, IMO aur Skype se kisi na kisi ko video call toh jarur ki hogi. Kya aapko pata hai ke aap without internet aur app ke bhi direct video call kar sakte hai. Agar aap iske baare me jaan na chahte hai, toh aap yeh post jarur read kare.

Direct Video call karne ke liye aapke paas kam se kam 3G ja 4G sim, aur aapke area me 3G,4G network coverage honi chahiye. Iske saath aapke paas 3G ja fir 4G handset hona jaruri hai, aur Jisko aap phone lagaoge. Uske paas bhi 3G ja 4G sim with 3G,4G network coverage hona chahiye.

Phone Se Direct Video Call Kaise Kare

But is method me main aapko Jio 4G VoLTE sim se direct another Jio VoLTE sim par video call lagane ke baare me bataunga. Agar aapke paas 4g Mobile Hai, aur usme VoLTE ki support milti hai, toh aap without data on kare, video call laga sakte hai.

Agar aapka phone sirf 4g hai, usme voLte ki support nahi hai, toh aapko playstore se Jio4GVoice app download karke install karna padega. But jio4gvoice app se video call karne ke liye aapko apne phone me Data on Rakhna Padega.

Note. Agar aapke paas 3G phone hai, toh aap without internet main balance se video call laga sakte hai. But dono taraf 3g phone hone chahiye 3G network ke saath. Is trah video call lagane ke liye paise aapke main balance me se cut honge.

Toh chaliye jyada time na lagate huye jaan lete hai. Mobile Se Direct Video Call Kaise Lagaye Without Internet

Jio Sim Se Without Internet Video Call Kaise Lagaye

1. Sabse pehle aap apne 4G VoLTE phone ke dialer ko open kare aur mobile number enter kare.

Note. Aap jio sim se sirf jio 4g sim par hi video call laga sakte hai. maine other network par video call karne ke liye try kiya tha magar other network se video call connet nahi hoti hai.

2. Ab dialer me apna Number enter kare.

make video call

3. Number enter karne ke baad aapko ‘Make Video Call‘ ki option dikhayi degi us par click kare. Click karte hi aapki video call lag jayegi.

Agar aap chal rahi voice call ko video call me conver karna chahte hai, toh aapko screen par camera ki ek icon dikhegi. Aap us par click karke voice call ko video call me convert kar sakte hai.

convert voice to video call

Agar aapke phone VoLTE support nahi hai, toh aap yeh same kaam Jio4GVoice Android app download karke kar sakte hai. All 3G aur 4G phone me yeh video calling feature hota hai. bas aapko kam se kam 3g sim with 3g network area chahiye hota hai, video call lagane ke liye

Toh dosto ab aap bhi apne frinds aur relative se video call kare, kyuke jio me calling free hai. isliye aap bina koi extra kharch free me unlimited video call ka maza le sakte hai. Agar aap kisi aur network se aise video call karte hai, toh aapke main balance se paise cut honge.

Dosto agar aapko “Mobile Se Direct Video Call Kaise Kare Without Internet | VoLTE Support” article acha laga hai, toh isko apne friends ke saath share jarur kare, aur latest update email me pane ke liye is blog ko subscribe karna mat bhule.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Comments (15)

    • yeh sirf jio sim par hi work karta hai. aap jio sim se sirf jio sim ko hi video call laga sakte hai, dono device me volte support hona jaruri hai.

      Reply
    • yeh sirf jio sim par hi work karta hai. aap jio sim se sirf jio sim ko hi video call laga sakte hai, dono device me volte support hona jaruri hai.

      Reply
    • yeh sirf jio sim par hi work karta hai. aap jio sim se sirf jio sim ko hi video call laga sakte hai, dono device me volte support hona jaruri hai.

      Reply

Leave a Comment