Mobile Screen Computer Me Kaise Dekhe Ya Cast Kare ?

Mobile Screen Computer Me Kaise Dekhe Ya Cast Kare ? Hello dosto aaj hum janege ke cast screen kya hai, aur apne android mobile ki screen ko pc ja fir laptop screen par cast kaise kare without kisi software ka use kiye.

 Mobile Screen Computer Me Cast Kaise Kare

Agar aapne pehle kabhi android mobile ki screen computer par cast ki hogi, toh aapne jarur kisi third party software ka use kiya hoga. But is method se aap without any software phone ki screen ko pc me dekh sakte hai. Lekin method jaan ne se pehle cast screen kya hai ? What is cast screen in hindi? iske baare me jaan lete hai.

What is Screencasting

Screen casting ek wireless technology hai, jiski help se aap apne android mobile ki display jani screen ko apne pc or laptop ki screen par dekh sakte hai. Woh bhi bina kisi cable ke attach kiye. But iske liye aapka computer aur mobile same wifi network par connect hone chahiye.

Screen Casting kya hai, iske baare me toh aap jaan gaye honge. Ab jaante hai ke mobile screen pc par cast kaise kare. Iske liye aap neeche bataye huye steps carefully follow kare.

Android Mobile Screen Computer Me Cast Kaise Kare Ya Dekhe.

1. Sabse pehle aapko pc screen ki right side neeche ki aur notification icon par click karke connect par click karna hai.

connect

2. Connect par click karne ke baad Project To This Pc par click kare.

3. Iske baad aapke samne ek new window open hogi. Usme aapko Available Everywhere or First Time Only Options select karni hai.

available everywhere

4. Ab aapko apne mobile me ja kar cast ki option par click karna hai.

cast

5. Ab aapki screen par pc ka name show hone lag jayega. Aapko pc name par click karna hai.

connect to pc

Click karne ke baad aapka mobile computer se connect hone lag jayega, aur connect hone ke baad aapke mobile ki screen pc par cast ho jayegi.

Note. screen Casting ka yeh new feature sirf window 10 par hi work karta hai. Agar aap window 7 ja 8 use kar rahe hai, toh aapko kisi third party software ki help se screen cast karni padegi.

Dosto aapko Mobile Screen Computer Me Kaise Dekhe Ya Cast Kare ? post kaisi lagi aap neeche comment karke jarur bataye, aur saath hi is article ko apne friends ke saath share karna mat bhule.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Comments (30)

    • cast feature ke bina aap DLNA ke jariye media content tv me share kar sakte hai. but isme aapke mobile ki screen show nahi hogi. aap mobile me jo video ja photo select karoge sirf wohi tv par chalegi.

      Reply

    • iske liye aapko check karna hai ke window 8 me screen casting available hai ja nahi, Agar nahi toh fir aap kisi another software se screen cast kar sakte hai.

Leave a Comment