Whatsapp Se Send Messages Ko Unsend/Delete Kaise Kare | New Revoke Feature

Whatsapp Se Send Messages Ko Unsend Kaise Kare | New Revoke Feature: Hello dosto axar kayi baar hamse whatsapp par kisi ko wrong message send ho jata hai, jiske baad hame bahut guilty feel hota hai. Agar aapse bhi anjane me kabhi koi wrong message send ho jaye, toh aap us message ko uske phone se delete kar sakte hai. Agar aap is whatsapp revoke feature ke baare me jaanna chahte hai, toh aap yeh pura article read kare.

Jaisa ke maine upar bataya agar aapse anjane me ja fir gusse me whatsapp se koi wrong message sent ho jaye, toh aap us message ko samne wale ke whatsapp se delete kar sakte hai. Yeh feature whatsapp ne offically launch kar diya hai. Hum kuch steps follow karke is new delete feature ko apne android mobile me whatsapp par activate kar sakte hai. Is feature ko activate karne ke liye aapko neeche likhi huyi requirment chahiye.

Minimum Requirment –
Whatsapp Latest Version Update

Agar aapke mobile me upar likhi sabhi requirment hai, toh aap is feature ko use kar sakte hai. toh chaliye hum jaan lete hai, ke Whatsapp se Send Message Ko Unsend/Delete Kaise Kare | New Revoke Feature

Whatsapp Unsend Messages

Whatsapp Send Messages Ko Unsend Kaise Kare

1st (Easy Method)

  1. playstore se Whatsapp ka latest update download karke install karle.
  2. Fir aap whatsapp par kisi ko message send kare.
  3. Fir aap us message par long press karke usko select karle.
  4. Jaise hi message select ho jayega, toh aapko upar delete icon milegi aapko us par click karna hai.
tap on delete icon

5. Delete icon par click karne ke baad aapke samne 2 option aayenge. Delete for me aur delete for everyone. Aapko delete for everyone par click karna hai.

Click karne ke baad aapka send huya message samne wale ke whatsapp se delete ho jayega.

Note. Aap message ko  7 minutes ke under hi delete kar sakte hai, aur aapko jiske mobile se message delete karna ho, uska whatsapp bhi update hona jaruri hai.

2nd Method 

1. Sabse pehle aapko GB Whatsapp Download karke apne mobile me install karna hai.

2. GB Whatsapp install karne ke baad aapko usme apna whatsapp number enter karke verify karna hai, aur purane whatsapp ko uninstall kar dena hai.

3. Fir aapko GB Whatsapp open karke kisi ko whatsapp par message karna hai, aur us message par long press karke usko select karna hai.

4. Fir aapko top par right side par 3 dots par click karke recall ki option par click karna hai.

Jaise hi aap Recall par click karoge toh woh message jo aapne select kiya tha woh dusre ke mobile jisko aapne send kiya hoga, usme se delete ho jayega.

3rd Method 

Sabse pehle toh aapko Playstore Beta Programme Ko Join karna hoga. Beta programme join karne ke liye aap Is Beta Programme Link Par Click karke Become a Tester par click karna padega.

Beta Programme Join karne ke baad aap playstore me whatsapp search kare, aur whatsapp ko update karle.

Revoke Unsend Feature activate karne se pehle aap jaan le ke aapke phone me android 6.0 version aur phone root hona jaruri hai. agar aapka phone root nahi hai, toh aap android phone root kaise kare post read kar sakte hai. toh chaliye ab whatsapp revoke feature activate kaise kare iske baare me step by step jaan lete hai.

1. Aapko apne phone me 2 Apps Install karne honge jinke link aapko neeche milenge. Aap in dono app ko download karke apne phone me install karle.

WA Tweak
Xposed App

2.  Xposed App download karne ke baad ek baar open kare, Fir yeh app aapse root permission magega, root permission allow karke. ek baar phone restart karle.

3. Is trah hi WA Tweak app open karke, root permission de kar mobile ko dowara restart karde.

5. Mobile Restart karne ke baad aapko xposed app open karna hai, aur usme neeche batayi huyi setting karni hai.

xposed install and setup
  • Xposed Status ko enable kare.
  • Side Option me se Modules ko select kare.
  • WA Tweaks par tick karde.

Ab aapka xposed app ka saara kaam complete ho chuka hai. ab aapko wa tweaks app me kuch setting karni hai. iske liye aap neeche likhe steps follow kare.

Neeche bataye steps ko follow karne se pehle aap sabse pehle WA Tweaks app open kare, aur root permission ko allow kare. Iske baad aapko home screen par ‘Enable Revoke’ ki option milegi usko enable karde. Iske baad aap neeche likhe steps follow kare.

whatsapp tweak setting
  • Xposed Tweaks par click kare.
  • Hidden Feature par click kare.
  • Enable Revoke ko enable karde.

Ab aapka lagbag saara kaam pura ho gya hai. ab aapke whatsapp me message unsend karne ka feature enable ho chuka hai. Toh ab jaan lete hai. Revoke feature ka istemal whatsapp me kaise kare message ko unsend karne ke liye.

Revoke Feature Ka Istemal Kaise Kare Sent Message Unsent Karne Ke Liye

1. Sabse pehle whatsapp me kisi chat ko open kare. aur koi message type karke send karde.

Note. Aap message ko 5 minutes ke under hi delete kar sakte hai. Is se jyada time hone se aap message ko unsend nahi kar sakte.

2. Ab aap us message par long press karke usko select karle.

3. Select karne ke baad aapko upar 3 dots par click karna hai.

4. Fir aapko Unsend par click karna hai.

unsend messages

5. Unsend par click karne ke baad aapke samne ek baar confirmation aayegi ke aap is message ko delete karna chahte hai, toh aap ek baar fir unsend par click kare.

finally message unsend

Iske baad aapka message unsend jani, jisko aapne msg send kiya hoga. Uske whatsapp se bhi woh message delete ho jayega.

Toh dosto aapko “Whatsapp Se Send Huye Message Ko Unsend/Delete Kaise Kare | whatsapp par bheje hue message ko delete kaise karte hai.” article kaisa laga aap neeche comment karke bata sakte hai, aur is article ko apne friends ke saath share jarur kare.

New latest update email me sabse pehle paane ke liye aap Blogforindia par sign up jarur kare, ta jo aapko is blog par aage aane wali post ke notification milte rahe.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Comments (8)

Leave a Comment