Wifi Network Name And Password Change Kaise Kare

Aaj hum wifi Network name and password change kaise kare. iske baare me baat karenge. Dosto wifi ssid name jani wifi name and password change karna bahut asaan hai. aap kuch hi minutes me wireless network password and name change kar sakte hai.

wifi password change kaise kare

Mere paas asus ka wifi router hai. Agar aapke paas kisi aur company ka router hai jaise Tp link, Dlink, Netgear ja fir Bsnl to gabrane ki jarurat nahi hai yeh method sabhi router par kaam karta hai. Toh chaliye jyada time na lagate huye shuru karte hai.

Wifi Network Name And Password Change Kaise Kare.

1. Apne Pc ja fir Laptop ke browser me apne router ka ip address enter kare.

Note. Ip address jaane ke liye cmd (Command Prompt) open kare. fir usme ipconfig type karke enter press kare. waha par aapko Default Gateway likha dikhayi dega us ke aage aapke router ka ip address likha hoga.

default gateway

2. IP Address browser me enter karne ke baad aapko username and password ki option dikhayi degi usme aapko Admin Admin type karna hai. matlab username me bhi admin type karna hai aur password me bhi admin type karna hai. Fir login par click karna hai.

Note. Admin Asus router ka default username and password hai. Aap routerpasswords.com website par ja kar apne router ke name aur model ke hisaab se default username and password pata kar sakte hai.

1. Advanced Setting par click kare.

2. Wireless ko select kare.

Fir aapke samne wifi name and password show hone lag jayega. Aap neeche screenshot me dekh sakte hai.

Router Setting

* SSID – Yaha par aap apne wifi ka name type kare jo aap rakhna chahte hai.

* WPA Pre-Shared Key – Pass change karne ke liye Yaha Par apna old password remove karke new enter kare.

5. Last me Apply par click kare.

* Pc Software Ki Serial Key Kaise Pata Kare
* Pc Games Free Me Download Kaise Kare

Ab aapke wifi se sabhi device disconnect ho jayega. aur aapka router ek baar restart hoga. restart hone ke baad aap apna device wifi se fir connect kar sakte hai. new name and pass ke saath.

* Amazon Prime Kya Hai ? (Get Free Delivery)
* Professional Android App Kaise Banaye

Note. Asus router ke ilawa aur jitne bhi router hai usme bhi aapko kahi na kahi advanced setting ja fir wireless ki option dikhegi aap us par click karke wireless network security key andssid change kar sakte hai.

Dosto umid karta hu aapko yeh post achi lagi hogi. Aur agar aapko is pure method me koi problem aa rahi ho toh aap comment me bata sakte hai.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Leave a Comment