Android Mobile Wireless Mouse And Keyboard Me (Badle) Change Kaise Kare

Android Mobile Wireless Mouse And Keyboard Me (Badle) Change Kaise Kare: Mouse And Keyboard 2 aisi cheeze hai jinke bina computer Operate karna bahut mushkil hai aur inme se ek cheez bhi kharaab hone se paise toh kharch hote hi hai aur saath me problem bhi bahut aati hai is liye main aaj aapke liye yeh post le kar aaya hu jiski maddad se aap apne android phone ko wireless keyboard and mouse me change kar sakte hai matlab badal sakte hai.

Dosto ab aapko new mouse and keyboard lene ki jarurat nahi hai kyuke ab aapka smartphone in dono ka kaam karega woh bhi free of cost toh dosto der kis baat ki shuru karte hai hamari aaj ki yeh post.

* Pc Me Screen Record Kaise Kare
* Pc Me Apni Pasand Ka Cursor Kaise Lagaye 

Apne Android phone ko wireless mouse and keyboard me badlne se pehle kuch Requirment jaan lete hai.

Android Mobile Wireless Mouse And Keyword Me Change Kare

Basic Requirment –

* Wifi
* PC or Laptop
* Android Mobile
Note. Yeh tabhi work karega jab aapka pc and android phone same wifi se connect honge.

 

Android Mobile Wireless Mouse Aur Keyboard Me Change Kaise Kare

* Sabse Pehle aapko wifimouse.necta.us website ko open karna hai.

* Website open karne ke baad scroll down karke aapko apne operating system ke hisaab se wifi mouse server download karna hai.

Download Mouse Server For Pc

* Software download karne ke baad usko open kare.

* Open karne ke baad notification area me yellow colour ki icon ban jayegi.

Notification

* Ab aapko pc me neeche bataye huyi setting me jana hai.

: Control Panel – System And Security – Window Firewall – Advanced Setting

Note. Advanced Setting Right Side me hogi.

Advanced setting par click karne ke baad ek dialog box open hoga.

Advanced Setting

1. Inbound Rules par click kare.

2. New Rule par click kare.

* Port Ko select karke next par click kare.

Select Port

* Fir ek new box open hoga.

Enter Port

1. blank box me 1978 type karna hai.

2. Next par click kare.

* Fir 2 Baar aur next kare.

* Aapke samne name enter karne ki option aayegi.

Enter Name

1. Name ki option me Remote type kare.

2. Finish Button par click kare.

* Pc Me Android Games Run Kaise Kare
* Online Free Credit Card Kaise Banaye

* Pc Me Upar batayi setting karne ke baad aapko Wifi Mouse Android App mobile par download karna hai.

* wifi mouse app download karne ke baad open kare.

* Fir wifi Mouse App aapke Pc ke ip address ko scan karega.

* Scan complete hone ke baad wifi and ip address show hone lagg jayega.

Scan Ip Address

1. icon par click karke phone connect kare.

* Jab aapka mobile pc se connect ho jayega toh aapke samne kuch aise option aa jayenge.

Wifi Mouse Ready

* Fir aap simply mobile par mouse ki icon par click kare.

* uske baad jaise hi aap next screen me jayenge aap screen par finger se scrol kare aur aapka mouse work karne lagg jayega.

* waise hi aapko waha par keyboard and gamepad ki icon mil jayegi jin par click karke aap unko use kar sakte hai.

* Pc Games Free Me Download Kaise Kare
* Songs Download Kare Simple One Click Karke

Dosto aapko Android Mobile Wireless Mouse And Keyboard Me (Badle) Change Kaise Kare post achi lagi, toh isko share jarur kare and agar is poore process me koi problem aa rahi ho toh aap comment me bata sakte hai.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Comments (2)

Leave a Comment