Best Budget 7th Generation Kaby Lake Gaming Pc Build India Under 35000

Best Budget 7th Generation Kaby Lake Gaming Pc Build India Under 35000: Hello dosto aaj main aapke liye 7th Generation kaby lake ka new budget pc build le kar aaya hu, is se pehle bhi hamne 6th Generation ka pc build kiya tha, agar aapne woh article read nahi kiya toh, aap Budget Gaming Pc Build Kaise Kare Post Read kar sakte hai.

Dosto is build ka budget 35000 ke aas paas hai, agar aapka budget bhi itna hi hai, toh yeh pc build aapke liye sabse best hai. isme aap har koi game araam se medium aur high setting par 50 To 60 FPS tak play kar sakenge. include GTA 5

KABY LAKE Best Gaming Pc Build India Under 35000

Is build me maine ek graphic card bhi use kiya hai, agar aapka budget thoda kam hai, toh aap graphic card ko ignore bhi kar sakte hai, aur jab aapke paas paise aa jaye, toh aap graphic card buy karke baad me laga sakte hai.

Toh chaliye hum jaante hai ke hamne kaun kaun se parts choose kiye hai. is 35000 7th generation build wale pc me.

Best Budget 7th Gen. Kaby Lake Pc Build Components Details ( Pc Configuration )

1. Processor – Processor me maine choose kiya hai. 7th generation ka brand new Intel Pentium G4560 LGA 1151 (3.5 GHZ,3MB Cache) Dosto yeh processor kaby lake architecture par based hai, jo ke intel ki sabse latest generation hai, aur is processor me aapko Hyper Threading ki support bhi mil jati hai.

pentium g4560

Iske saath saath isme 3.5 Ghz ki base clock hai. Hyper Threading ki wajah se aap isme thodi bahut editing jaise photoshop ja fir video editing bhi kar sakte hai. Agar aap is processor ko i3 6100 ke saath compare kare, toh aapko bahut kam difference milega. Aap neeche pic me benchmark dekh sakte hai.

 

Is processor ki price ki baat kare, toh aap is processor ko amazon se Rs. 5490 me buy kar sakte hai.

2. Motherboard – Motherboard me maine choose kiya hai, Gigabyte ka Gigabyte GA-H110M-S2 LGA 1151 7th Gen F20 Updated BIOS Motherboard. Dosto aap me se sahid kuch logo ko pata hoga, ke 7th gen. processor me socket change nahi huyi hai, matlab aap 1151 socket wale motherboard me 7th gen. wale processor ko run kar sakte hai. Magar motherboard ko buy karte samay dekh le ke Motherboard ki bios 7th gen processor chalane ke liye updated hai.

gigabyte h110

Is motherboard me aapko 2 ram slot milenge. jisme aap 2133 mhz wali ram ko use kar sakte hai. aur isme aapko ssd aur pci slot bhi mil jate hai. Agar aap isko online amazon se buy karte hai, toh aapko yeh Rs. 4499 ka padega.

3. Ram – Ram me humne choose ki hai HyperX FURY Black 8 GB 2133 MHz CL14 DIMM DDR4 ram Agar aap ek gamer hai, toh aapke liye 8 gb ram kafi hai, baad me agar aapke paas aur paise aa jaye toh aap ek aur 8 gb ki ram apne motherboard me laga sakte hai.

fury 8gb ddr4 ram

Iski amazon me online price Rs. 4881 hai, agar aap ram ko offline apni local market se buy karoge, toh aapko badi asani se yeh ram 3000 ke aas paas mil jayegi.

4. Graphic Card – Dosto agar aap gaming ka asli maza lena chahte hai, toh aapko graphic card toh lagana padega. Toh isliye hamne is buid me Zotac ka 1050 ti mini GDDR5 graphic card use kiya hai. Iska online price Rs. 12550 hai. Agar aapka budget thoda kam hai, toh aap isko baad me buy karke bhi pc me laga sakte hai.

graphic card 1050ti mini

6. Hard Disk – Hard Disk me maine choose ki hai. WD Blue Desktop 1TB Internal Hard Drive  jo aapko Rs. 3,595 me amazon se mil jayegi.

wd 1tb hdd

7. PSU – Power Supply me hum jayege. Corsair VS Series VS450 – 450 Watt SMPS dosto hamara jo pc build hai. itna jyada power consume nahi karega. isliye 450 watt ki psu ek dum sahi rahegi. iski price aapko lagbag Rs. 2899 padegi.

450 psu

8. Cabinet – Cabinet maine choose kiya hai, Circle CC819 Professional Gaming Cabinet jo ke ek bahut hi good looking professional cabinet hai. isme aapko front usb 3.0 port milega, aur iski side transparent window isko bahut cool look deti hai. Is cabinet ki price hai Rs. 2,779

pc cabinent

Sab componets ko milakar total price Rs. 36,693 hota hai. Toh dosto agar aap budget me ek gaming pc build karne ke baare me soch rahe hai, toh aapko minimum 35000 rupaye kharch karne padege. Is pc me aap har koi game 1080p me play kar sakte hai.

Dosto aapko “Best Budget 7th Generation Kaby Lake Gaming Pc Build India Under 35000” article kaisa laga aap neeche comment karke jarur bataye, aur is post ko apne friends ke saath share karna mat bhule.

Latest upadate paane ke liye aap is blog ko subscribe kar sakte hai. jis se aapko new article ke notifications email me mil jayege.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Comments (3)

  1. Bro aapko koi aisa app ki jankari hai jisse hum apne blog ke liye backlink create kar sakte hai.I mean koi aisa app ya tool hai jisse blog ke liye working backlink genrate kar sakte hai..

    Reply
    • nahi aisa koi tool nahi hai agar hoga bhi toh paid hoga. is se acha toh aap khud apne niche se related website se backlink le sakte hai. guest post karke.

      Reply

Leave a Comment