Computer Me IMO Messenger Software Install Aur Use Kaise Kare

Computer IMO Messenger Software Install Aur Use Kaise Kare Dosto aapne android mobile se video call toh ki hogi. Android mobile par sabse popular video calling App IMO Messenger hai. But abhi kuch time pehle hi Whatsap ne bhi video call feature Launch kar diya hai. But mujhe personaly IMO sabse best lagta hai, video calling ke liye. Lekin kya hum IMO software ko pc me install kar sakte hai. Ji ha aap aisa kar sakte hai.

IMO Softawre Lagbag sabhi operating system window 7, 8, 8.1, aur 10 me sahi work karta hai. IMO ko pc me use karne ke liye aapke pc ja laptop me camera, mic aur fast internet connection hona jaruri hai. Toh hi aap achi trah se Computer me IMO se Video Call kar sakte hai. Agar aapke paas web cam nahi hai toh aap Android Phone Web Cam Me Change Kaise Kare Post read karke apne android phone ko web camera me convert kar sakte hai.

IMO ko pc me install karne se pehle IMO ka Android App aapke phone me install hona chahiye. Jo Imo account aapke android mobile me chal raha hai, pc me bhi woh hi Imo account open hoga. Is liye pehle apne android phone me imo install karke apna Number Register karle.

imo for pc

Computer Me IMO Messenger Install Aur Use Kaise Kare

1. Sabse pehle www.imoforpc.net site se Imo Software Download kare.

2. Download karne ke baad IMO Messenger software ko install karle.

3. Install karne ke baad usko open kare, aur Yes Button par click kare.

click-on-yes-imo

4. Fir aapko apna mobile number enter karna hai, aur continue ke button par click karna hai.

Note. Jo number aap enter karoge us number pe mobile par imo active hona chahiye.

enter-number-in-imo

5. Ab apne mobile me imo open karke dekhe waha par aapko ek verification code milega usko aapne pc  me type karke enter press karna hai.

enter your phone number for imo verification

Pc me IMO account verify hone ke baad IMO Computer par chalne lag jayega. Ab aap computer se hi Video aur audio call kar sakte hai. Install hone ke baad yeh kuch aisa dikhega.

imo desktop preview

Toh dekha dosto kitna asaan hai IMO Messenger ko pc me install karna. Toh ab aap bhi apne pc aur laptop me imo messenger ko install karke dekhe aur bataye aapko yeh software kaisa laga.

Agar aapko “Computer IMO Messenger Software Install Aur Use Kaise Kare” post achi lagi ho toh isko Like aur Share karna mat bhule, aur is trah ke new updates apne email me pane ke liye is blog ko subscribe jarur kare.

वैशाली

वैशाली लखनऊ उत्तर प्रदेश से हैं। वह शिक्षा के क्षेत्र से जुड़ीं हैं, और लोगों के साथ ज्ञानवर्धक जानकारी साक्षा करने में रूचि रखतीं हैं। इनके काफी लेख इन्टरनेट पर प्रकाशित हो चुके हैं।

Comments (4)

Leave a Comment