
Gta game Edit Karne Ke Liye Neeche Likhe Tool Chahiye
- Img ToolGta Mod File
- Computer
- Gta Sanandreas Or Vice City Game
Gta Games Me Custom Cars, Player, Building, Bike Kaise Add And Change Kare – Gta Mods
1. Sabse pehle aapko neeche batayi huyi sites par visit karna hai.
* Aap Internet Par search karoge toh aapko aur bhi bahut saari sites mil jayegi.
2. Koi ek site ko open kare fir aapke samne games ke name aa jayege jaise gta sanandreas and vice city jis game me aap mods install karna chahte hai usko select kare.
3. Select karne ke baad apko us game se related sabhi mods ki list milegi jaise cars, bike, building, player skin,Weapon, roads, and other aapko game me jis cheez ko bhi change karna ho us category ko select kare.
4. Jaise aapne koi car change karni hai toh car ki category select kare aur uske baad apke samne bahut saari cars aayegi aapko jo car achi lage us par click kare.
5. Next page par download ki option aayegi us par click kare Fir ek zip file download hogi usko winrar software ki maddad se unzip extract karle.
6. Fir aapko ek folder milega usme 2 files hogi .dff .txt
Example –
admiral.dff
admiral.txt
7. Jaise aap ne upar dekha dff and txt file ke aage ek name likha hua hai admiral jab aap dff and txt file download karoge usme bhi ek name hoga.
8. Fir aapko img tool open karna hoga.
- Launched Pc Whatsapp App For Window And Mac Download Now
- Pc Password Kaise Reset Kare | Best Way In Hindi
9. Img tool me file par click karke open par click kare.
10. Fir aap Gta game ke folder ko open kare waha par ek model name ka folder hoga usme se Gta3.img file ko select kare fir Gta3.img file aapke img tool me load ho jayegi.
11. Fir aap F2 press kare fir ek search box khulega.
12. Jo 2 files aapne download ki hai uske aage ek name hoga aapko uska name search box me enter karna hai jaise maine jo file download ki hai uska name admiral hai toh main admiral type karunga aapki file ko jo name hai aap usko box me enter kare aur uske baad find par click karke us name ko search kare.
13. Jo name aap search karoge wo 2 baar hoga ek .dff format me aur ek .txt format me.
14. Sabse pehle hum dff file ko search karte hai. uske liye aapko file ke name ke last me .dff lagana hai Example – admiral.dff aur uske baad find par click karna hai.
15. Fir aapke samne file show hone lag jayegi fir us par right click karke neeche bataye dono step follow kare.
- extract par click karke file ka backup bana le.
- extract karne ke baad us file ko delete karde.
* Fir F2 press kare aur box me name ke last me .txt likh kar search kare.
Example – admiral.txt
* Fir us txt file par right click karke neeche bataye dono step follow kare.
- extract par click karke file ka backup bana le.
- extract karne ke baad us file ko delete karde.
16. Dono files ko delete karne ke baad apne jo file download ki thi ab un file ko game me add karna hai.
17. Add karne ke liye img tool me Command > add Par click kare.
18. Fir Dono .dff And .txt Files ko ek ek karke add kare.
Jab aapne dono files ko add kar diya toh uske baad img tool ko close karde aur game ko open karke dekhe jo bhi car, building, bike, other kuch bhi aapne add kiya hoga wo aapki game me aa jayega aap aisa karke gta vice city and gta sanandreas game ko puri trah change customize kar sakte hai.
Note. Agar game me koi error aaye toh aapne jo files add ki thi unko search karke delete karna hai aur jin original files ko aapne delete karne se pehle extract kiya tha unko wapis se command > add me ja kar dowara add kare fir aapki game pehle jaisi ho jayegi.
Aap is process ko follow karke gta game me cars, building, bikes, boats, weapons, player aur bhi bahut kuch change aur add kar sakte hai agar aapko koi problem aaye toh aap comment karke puch sakte hai.